Jigar Moradabadi Poetry

Top 20 most famous Shayari of jigar moradabadi


Top 20 most famous Shayari of jigar moradabadi

1- Jo toofano mein palte ja rahe hain,
Wahi duniya badalte ja rahe hain.

2- Zindagi ik haadsa hai aur kaisa haadsa,
Maut se bhi khatam jiska silsila hota nahi.

3- Bahut haseen sahi sohbatain gulon ki magar,
Woh zindagi hai jo kaanton ke darmiyan guzre.

4- Haay re majbooriyaan, mehrumiyaan, nakaamiyaan,
Ishq aakhir ishq hai, tum kya karo, hum kya karein.

5- Aaa ki tujh bin is tarah ai dost ghabraata hoon main,
Jaise har shay mein kisi shay ki kami paata hoon main.

6- Ai ishq-e-junoon-pesha haan ishq-e-junoon-pesha,
Aaj ek sitamgar ko hans hans ke rulana hai.

7- Jab mili aankh hoosh kho baithay,
Kitne haazir jawab hain hum log.

8- Dil mein kisi ke raah kiye ja rahe hoon main,
Kitna haseen gunaah kiye ja rahe hoon main.

9- Wahi hai zindagi lekin 'Jigar' yeh haal hai apna,
Ke jaise zindagi se zindagi kam hoti jaati hai.

10- Duniya ko maara Jigar ke sheron ne,
Jigar ko sharaab ne maara.

11- Ik lafz-e-mohabbat ka adna yeh fasana hai,
Simte to dil-e-aashiq, phailay to zamaana hai.

12- Yun dil ko tadapne ka kuch to hai sabab aakhir,
Ya dard ne karwat li ya tum ne idhar dekha.

13- Husn ko bhi kahan naseeb 'Jigar',
Woh jo ik shay meri nigah mein hai.

14- Hum ne seene se lagaya dil na apna ban saka,
Muskurakar tum ne dekha, dil tumhara ho gaya.

15- Ya woh the khafa hum se ya hum hain khafa un se,
Kal un ka zamaana tha, aaj apna zamaana hai.

16- Mohabbat mein hum to jiye hain jiyeinge,
Woh honge koi aur mar jaane wale.

17- Gudaaz-e-ishq nahi kam jo main jawaan na raha,
Wahi hai aag magar aag mein dhuan na raha.

18- Garche ahl-e-sharaab hain hum log,
Yeh na samjho kharaab hain hum log.

19- Koocha-e-ishq mein nikal aaya,
Jisko khaana-khaaraab hona tha.

20- Dil gaya raunak-e-hayat gayi,
Gham gaya saari kaayenat gayi.
---------------------------------------
1- जो तूफ़ानों में पलते जा रहे हैं
वही दुनिया बदलते जा रहे हैं

2- ज़िन्दगी इक हादसा है और कैसा हादसा
मौत से भी ख़त्म जिसका सिलसिला होता नहीं

3- बहुत हसीन सही सोहबतें गुलों की मगर
वो ज़िंदगी है जो काँटों के दरमियाँ गुज़रे

4- हाय रे मजबूरियाँ, महरूमियाँ, नाकामियाँ
इश्क़ आख़िर इश्क़ है, तुम क्या करो, हम क्या करें

5- आ कि तुझ बिन इस तरह ऐ दोस्त घबराता हूँ मैं
जैसे हर शय में किसी शय की कमी पाता हूँ मैं

6- ऐ इश्क़-ए-जुनूँ-पेशा हाँ इश्क़-ए-जुनूँ-पेशा
आज एक सितमगर को हँस हँस के रुलाना है

7- जब मिली आँख होश खो बैठे
कितने हाज़िर जवाब हैं हम लोग

8- दिल में किसी के राह किए जा रहा हूँ मैं
कितना हसीं गुनाह किए जा रहा हूँ मैं

9- वही है ज़िंदगी लेकिन 'जिगर' ये हाल है अपना
कि जैसे ज़िंदगी से ज़िंदगी कम होती जाती है

10- दुनिया को मारा जिगर के शेरों ने
जिगर को शराब ने मारा

11- इक लफ़्ज़-ए-मोहब्बत का अदना ये फ़साना है
सिमटे तो दिल-ए-आशिक़ फैले तो ज़माना है

12- यूँ दिल को तड़पने का कुछ तो है सबब आख़िर
या दर्द ने करवट ली या तुम ने इधर देखा

13- हुस्न को भी कहाँ नसीब 'जिगर'
वो जो इक शय मिरी निगाह में है

14- हम ने सीने से लगाया दिल न अपना बन सका
मुस्कुरा कर तुम ने देखा दिल तुम्हारा हो गया

15- या वो थे ख़फ़ा हम से या हम हैं ख़फ़ा उन से
कल उन का ज़माना था आज अपना ज़माना है

16- मोहब्बत में हम तो जिए हैं जिएँगे
वो होंगे कोई और मर जाने वाले

17- गुदाज़-ए-इश्क़ नहीं कम जो मैं जवाँ न रहा
वही है आग मगर आग में धुआँ न रहा

18- गरचे अहल-ए-शराब हैं हम लोग
ये न समझो ख़राब हैं हम लोग

19- कूचा-ए-इश्क़ में निकल आया
जिस को ख़ाना-ख़राब होना था

20- दिल गया रौनक़-ए-हयात गई
ग़म गया सारी काएनात गई


Poet - Jigar Moradabadi
Location: Moradabad, India
Views: 459